Ghar
vaise to baaki hazaar karobaar hai duniya par
par mera ek ghar udhaar hai duniya par
Ishq
zamana kya badla ke ishq karne ko fursat nahi, sarkaare aisi bani
ke uthe mehboob par bhi sawaal kai..
Tasveer
Aaine mei tasveer badli si filhal mei
maano sadiyaan beet gayi ho is ek saal mei
Sawaal
Har saal sochti hoon tera jawaab aayega
Har roz dekhti hoon apne sawaal badalte hue
Ranjishein
Abhi baaki hai khudse ranjishein kai
tumse dil laaga saku, itni meri ahsiyat nahi
Waqt
Is waqt ka hissab na maangna ae Zindagi
hum samjha na sakege ke kaise kuch yaadon mei samet liya tujhe
aur kaise chand lamhon mei guzar bhi gayi tu