Inquilab

Karni agar siyasat hai khoon se hamare

to haan nahi manzoor ye sarkar tumhari

suno ye naare jo goonj rahe hai sadko par

ye mahaz ek shururat hai us takht to giraane ki

jisse sajaya hai tumhne atyachaaro par

suno inki awaaz ye keh rahe hai aaj

ke aayega Inquilab

aur aayega is baar pehen kar bindi chudi aur hijab